har woh khwab jo maine siddat se jiya
inn aankho mein, tumne hi toh tha diya
har pal jo main jasn manata raha
har lutf inn sansoo ka uthata raha
tumne hi toh mujhe di woh aazadi
tumhare sang hi toh kuch geet sunahray gaata raha.
Darr ki zanjeero mein bandha hua aaya tha
Dariya ke par dekhne ki himmat kaha thi mujhme
khidkiya band thi sang inn aankho ke
bhawaroon se ubharne ki himmat kaha thi mujhme
tab tumne hi toh haath thama tha mera
tumne hi toh darwaza woh khat-khataya tha
''lehro se khelna hai bada assa''
waqt se tez chalne tumhi ne toh sikhaya tha.
meri aankho ka rang mujhi se lekar
duniya meri sawari hai tumne
ek awaaz jo mere andar thi,
bina sune uski tasweer utari hai tumne
bharosa mujhe khud pe kabhi na tha
ba-fakr' chalna sikhaya tumhine
kuch durr toh sabhi saath chalte hai
ta-umr' hai saath nibhaya tumhi ne
jeena toh sab sikhlatay hai
pankh dekar udna sikhaya hai tumhi ne
nasha apne sapno ka baatt'ta mein kiss say
kisse batata ki kya sochta hu
jo tum na hote, na hoti yeh duniya
na hote yeh manjar jo main dekhta hu.
meri rooh ke har zarre' pe malikana haq hai tumhara
tumhi se yeh jiwan, yeh sansay, yeh hassti
aaj jab khayal aaya ki tumhare bina main kya hu
sehm sa gaya mann
shambhala tumhine
No comments:
Post a Comment